Monday, 9 November 2015

Biwi Se Ziyada Arse Tak Alehda Rehne Ki Mumaniat





Description: 
Biwi Se Ziyada Arse Tak Alehda Rehne Ki Mumaniat  
 4 month se ziyada wife se alehdgi or sohbat ko Fuqha ne mana farmaya ha kiyounkay aurat mein quwate sabar 4 month se ziyada nahi hoti ha jesa ke Hazrat Umar (R.A) ke sath paish aaye waqia se pata chalt ha. Jo is tarah ha 1 bar Ameer Ul Momineen Hazrat Umar (R.A) raat ko Madina ki galyo mein gasht farma rahe thay to 1 makan se kisi jawan aurat ke gane ki awaz suni jo kuch ishqia ashar ga rahi thi jin ka mafhoom kuch is tarah tha ke "Khuda ki qasam agar mujhey khofe Khuda no hota to aaj charpai ki cholen charcharane lagtee. Ameer Ul Momineen ko ashar sun kar kuch shak huwa or darwaza kholne ka hukum diya or jab darwaza nahi khula to Aap (R.A) deewar phaand kar andar dakhil hue to wahan sirf 1 aurat ko paya koi mard nahi tha. Daryaft par aurat ne bataya ke is ka shohar kafi arsa huwa Jihad mein gaya huwa ha jis ki judai se bechain ho kar wo ye ashar ga rahi thi. Ye sun kar Hazrat Umar (R.A) apni sahabzadi Ummul Momineen Hazrat Hafsa (R.A) ke paas tashreef le gaye or un se farmaya ke baghair sharamo lihaz ke batao ke shadi shuda aurat baghair shohar ke kitne din sabar kar sakti ha. Jawab mein Ummul Momineen ne neechi nigaho se hath ki 4 ungliya utha dee jis se Aap (R.A) ne samajh liya ke aurat bagahir shohar ke 4 maah tak sabar kar sakti ha. Pas Aap (R.A) ne jahan jahan Islami lashkar Jihad par the hukum nama jari farmaye ki shadi shuda fojio ko 4 mah hone pr apne ghar jane ki ijazat de di jaye. 
Masla: Agar aurat apne shohar ke 4 maah se zaid arsa tak door rehne par razi ho jey to 4 maah se zaaid alehdgi mein bhi koi muzaiqa nahi balkay 1 saal bhi agar shohar qareeb na jaye to jaaiz ha.











No comments:

Post a Comment