Monday 9 November 2015

ھمبستری کرنے کا فطری اورغیرفطری طریقا




Description:

likoria Karne Ka Fitri Or Ghair Fitri Tarika 

Jima ka fitri tarika yehi hai ke aurat neechay ho or mard upar rahay. Chunachay saray hewanat isi fitri tarika par amal karte hein or Surah Aeraaf ki Ayat # 189 mein bhi yehi tarika nihayat lateef isharay mein bayan kiya gaya hai. 
Tarjuma: "Jab mard ne aurat ko dhaanp liya to us ko halka sa hamal reh gaya" 
Is ki soorat yehi ho sakti hai aurat chit letay or mard is ke upar pat (Ulta) letay to is tarah likoria ke jism se aurat ka jisam dhak jaye ga. 
Isi tarika mein ziyada rahat o asani hai. Aurat ko bhi mushaqqat nahi uthana parti nez istaqrar hamal ke lie bhi ye tarika mufeed hai. 
Sheikh Al Raees Hakam Bu Ali Seena ne bhi apna kulyat qanoon tib mein isi tarika ko pasandida bataya hai. Sheikh Al Raees ke nazdeek jima ki tamam shaklo mein buri shakal ye hai ke aurat mard ke upar or mard neechay chit leta ho kiyounkay is soorat mein sperm mard ke azu mein baqi reh kar mutaffun hokar aziyat ka bai's hoti hai.

Biwi Se Ziyada Arse Tak Alehda Rehne Ki Mumaniat





Description: 
Biwi Se Ziyada Arse Tak Alehda Rehne Ki Mumaniat  
 4 month se ziyada wife se alehdgi or sohbat ko Fuqha ne mana farmaya ha kiyounkay aurat mein quwate sabar 4 month se ziyada nahi hoti ha jesa ke Hazrat Umar (R.A) ke sath paish aaye waqia se pata chalt ha. Jo is tarah ha 1 bar Ameer Ul Momineen Hazrat Umar (R.A) raat ko Madina ki galyo mein gasht farma rahe thay to 1 makan se kisi jawan aurat ke gane ki awaz suni jo kuch ishqia ashar ga rahi thi jin ka mafhoom kuch is tarah tha ke "Khuda ki qasam agar mujhey khofe Khuda no hota to aaj charpai ki cholen charcharane lagtee. Ameer Ul Momineen ko ashar sun kar kuch shak huwa or darwaza kholne ka hukum diya or jab darwaza nahi khula to Aap (R.A) deewar phaand kar andar dakhil hue to wahan sirf 1 aurat ko paya koi mard nahi tha. Daryaft par aurat ne bataya ke is ka shohar kafi arsa huwa Jihad mein gaya huwa ha jis ki judai se bechain ho kar wo ye ashar ga rahi thi. Ye sun kar Hazrat Umar (R.A) apni sahabzadi Ummul Momineen Hazrat Hafsa (R.A) ke paas tashreef le gaye or un se farmaya ke baghair sharamo lihaz ke batao ke shadi shuda aurat baghair shohar ke kitne din sabar kar sakti ha. Jawab mein Ummul Momineen ne neechi nigaho se hath ki 4 ungliya utha dee jis se Aap (R.A) ne samajh liya ke aurat bagahir shohar ke 4 maah tak sabar kar sakti ha. Pas Aap (R.A) ne jahan jahan Islami lashkar Jihad par the hukum nama jari farmaye ki shadi shuda fojio ko 4 mah hone pr apne ghar jane ki ijazat de di jaye. 
Masla: Agar aurat apne shohar ke 4 maah se zaid arsa tak door rehne par razi ho jey to 4 maah se zaaid alehdgi mein bhi koi muzaiqa nahi balkay 1 saal bhi agar shohar qareeb na jaye to jaaiz ha.











Baghair Ghusul Ke Jima Na Karein




Description:

Baghair Ghusul Ke Jima Na Karein,

Baghair Ghusul Ke Jima Na Karein 
Baaz tajurba kaar logon ka qol ha ke agar kisi shakhs ko ahtalam huwa ho to wo baghair ghusul kiye apni biwi se jima na kare nahi to andesha ha ki larka deewana or bukhel paida hoga. Isi tarah 1 bar sohbat kar chuknay ke baad phir doobara usi waqt sohbat ki khuwahish ho to fareeqeen baad ghusul doobara masroof ho aesa karna afzal ha or Huzoor (Peace Be Upon Him) ne apne Sahaba (R.A) ko taleem di ha ke tum mein se koi shakhs apni biwi se jima kare or phir aesa doobara karna chahe to use chahiye ke darmiyan mein Wuzu kare.

Mardana Taqat Barhane Ke Liye Akseer Nuskha






Mardana Taqat Barhane Ke Liye Akseer Nuskha 

 Aap piyaz 2 sair, honey 1 sair dono ko mila kar pakayen hatta ke pani jal jaye or honey baqi reh jaye. Phir jawtari 4 masha, long 4 masha, zafran 4 masha milayen. Pas na mardi ka akseeri tohfa tayyar hai. 

Bhens ke garam doodh mein do bare spoon honey ke achi tarah se mila kar pi liya karein. Aam jismani quwat or taqat barhane ke liye behad mufeed hai.